Biography of
Saghar Siddiqui
Saghar Siddiqui was born in 1928 in Allahabad. His real name was Akhtar Shah and he use Nasir Hijazi as his filmy name. At the time when Pakistan came into being Saghar was only 19 years old. Saghar Siddiqui came Pakistan from Amritsar. Saghar also wrote many filmy songs. Saghar Siddiqui died on 19 July 1974, he was only 46 years old. Saghar lived a very difficult life, Saghar struggle whole his life to live. After the death of Saghar Siddiqui Younis Adeeb had written two books on Saghar Siddiqui’s life, Saghar Siddiqui ki Shakhsiyat, fun aur Kalam and shikast e Saghar.In this page, you will read Saghar Siddiqui Biography In Urdu
Saghar Siddiqui Biography In Urdu
Saghar Siddiqui 1928 mein anbala (Mashriqi Punjab) mein paida hoye. Un ka asal naam Muhammad Akhtar Shah aur filmi naam Nasir Hijazi tha. Unhon ne aik 40 50 sala buzurg se taleem hasil ki jin ka naam Habib Hassan Khan tha. 1944 mein Amritsar mein Jama ul sana hall bazaar mein jo ulom e sharqiya ki bhetareen darsgah thi wahan mahana tarhi mushairre hote the jin mein sharkat karna un ke leye bari khushi ki baat thi.
Qayam e Pakistan ke waqat Saghar ki umar 19 baras thi jab wo Amitsar se Pakistan aye. Dev Samaj road par aik hotel mein qayam kiya. Saghar ke adabi doston mein Ameen Gilani, Latif Khalil, Zaheer Kashmiri, Ahmed Rahi aur Mirza Janbaz shamil the jab ke Sahir Ludhyanwi, Nareesh Kumar, Shad, Latif Gard Aspori ka Saghar bahad adab o ahteram karte the. Anokhi Dastan, Jabro, Shalimar, Baap ka ghunah, Do Ansoo, Baghi, Anjam, Ghulam aur Sarfarosh film ke gane Saghar Siddiqui ne likhye. Saghar Siddiqui ne Hafiz jalandahri ke tarane se phele Pakistan ka Qomi tarana likha, Kashmirk haseen wadiyon mein filmaya aur apni hi awaz mein gaya aur Regent Cinema mein sab se phele dekhaya gaya tarane ke bol the “ Salam Aey Quaid e Azam” hukumat ne is tarane ko pass na kiya. Is tarane mein Fida Shahjahan Pori aur Naeem Hashmi ne muavnat ki.
1952 mein aik charsi aur afyuni photographer Hafiz Qandhri se Saghar Siddiqui ki dosti ho gai aur yaha se Saghar ki zidagi mein nashe ka agaz howa. Bharte bharte 1958 mein marfiya ka istemal karne lage. Saghar Siddiqui hafat roza “Tasveer” ke auditor bhi rahe. Hafat roza Tasveer band hone ke bad Unhon ne apna filmi akhbar nikala. Wasail ki kami aur doston ke adam tawan ki wajah se sawa 5 rupe mein Jilani Niyazi ko farokht kar deya. Mehndi Hassan ne jo Saghar ki Ghazal is ki zindagi mein gayi is ka mutla hai
“Chiragh e Tor jalawo bara andhera hai.”
Sadar e Pakistan Field Marshal Khan ne Saghar ki shayari khusosan jo un par nazam likhi gai. “kiya hai hum ne sabar humen ayoob mila” se mutasir ho kar apne pas bolaya magar un ki ana ne gawara na kiya ke koi bheek dene ke liye bolaye aur main chala jayon. Sadar e Pakistan ke pas Jane ke bajaye cigaratte ki dibi utha kar faqt ye sher likh kar bhejh deya.
“Hum Samajhte Hain Zoq e Sultani
Khilonon Se Behel Jaya Karte Hain.”
Khilonon Se Behel Jaya Karte Hain.”
Sakth sardi mein bhi Saghar ke pas koi garam kapra na tha ke sardi se bach sake wo raat aik tanoor par sote kyun ke nan bai jab apna kaam khatam kar ke jata tab bhi tandoor garam rehta tha. Ye halat dekh kar Dr. Abdul Rehman ne aik razai Saghar Siddiqui ko di ta ke sardi se mehfooz reh sakein jab Saghar razai uthaye ja rahe the ke raste mein aik faqeer sardi se kanp raha tha Saghar razai us ko de di aur khud hasb e adat sabar aur qanayat par aktefa kiya. Saghar Siddiqui ko darwesh shair ke naam se yaad kiya jata ha. Saghar Siddiqui ko Meer Taqi Meer ke bad dard ka safir kehna beja na ho ga. Taqseem Hind ke bad Saghar Siddiqui sher likhta tha, sher pharhta tha, sher khata tha aur sher hi peta tha. Us ki funi qabiliyat ki kise ne pazirai nahi ki. Wo tamam umar adbi ajaradari ka rona rota raha magar us ka koi pursan e hal na tha. 5, 5-rupe balke 4, 4 ane ke uwaz apni ghazalein beach kar apni zindagi ki gari ko chalata raha.
1973 mein un par falij ka hamla (falij ka attack) howa. Footh path par apni zindagi ka akhtamam kiya. Logon ki be inteha dad hasil karne ke bawajud adab ke thekedaron ke zere atab rehene wala Saghar Siddiqui 19 July 1974 ko khamoshi ke sath shehar e khamoshan Ahata e Sheikhan nazd Surriya Azeem Waqaf Hospital Bahawalpur road qabrustan Meyani Sahab Lahore mein dafan ho gaya. Saghar ne sirf 46 baras ki umar pai. Saghar Siddiqui ke marne ke bad Yonus Adeeb ne us ki zindagi par 2 kitabein tahereer kien han. Saghar Siddiqui ki Shakhsiyat Fan aur Kalam, Shekast e Saghar. Saghar Siddiqui ki takhlikat mein Lohe Junon, Shesha Dli, Gham e Bahar, Shab e Agahi, Maqtal e Gul, Sabaz Natiya Majmua han. Ghazaliyat ka majmua “ kuliyat e Saghar” ke naam se shaya ho shuka hai. Hazrat Sultan Baho ke dohon ka urdu sheer mein tarjuma Punjab ke sheeri adab paron mein Sohni Mahiwal ka urdu tarjuma kiya. Lekin pora sheeri tarjuma kahen mehfooz nahi, is ka ibtadai hisa abhi dasteyab howa hai.
No comments:
Post a Comment